Qutbe Chalte hai


Aaj mushtaaq hai tumse milne ko dekh tumhein tumhaare qutbe mein..
Hmaari marguub yaadein jo aayi hai zehan mein…
Maahir the hum dono ek duje ki khushi tlaashne mein…
Nahiid thi zindagi hmaari… rehte jo the ek dooje ki chhaav mein…
Wo akhtar yaad hai mujhe… jo hmne apni shaamon mein bayaan kiye the..
Wo khwaab yaad hai mujhe… jo hmne un akhtro mein byaan kiye the…
Wo khushiyaan yaad hai mujhe… jo hmne un khwaabo mein byan kiye the..
Aur wo lamhein yaad hai mujhe… jo hmne un khushiyon mein byaan kiye the…
Par aaj tanhai hai… kyunki khushi ka wo zaria nhi hai…
Qutbe mein ho tum… aur hmaari aashiqi ki basti nhi hai…
To wo hmaari yaadein aaj yateem hai…
Par aaonge tum kabhi… aisa yakeen hai…
Tumhaari ruh kreeb hai mere… aisa ehsaas hota hai…
Natija nhi hona chahiye tha aisa… aisa mehsoos hota hai..
To laut aao aur meri zabt ka imtehaan na lo…
Aur har baar ki tarah chhipke se kaan mein kuch kho…
Kyunki Aakhir yakeen tootte waqt nhi lgte…
Tanhaai ke beher mein hausle tootte waqt nhi lgte…
To laut aao.. aur do zindagi mein phir dakhl meri…
kyunki bnaa hi li hai tumne apni dharkhan meri…
To laut aao… aur apne saath le chlo mujhe….
Ki phir ek jeene ka zariya chahiye mujhe…
Jeene ka zariya the ek dooje ka hum… to aaj ek saath phir chlte hai…
Qazaa bhi ek saath lete hai… aur ek saath qutbe chalte hai… qutbe chalte hai…

Glossary
Mushtaaq=eager
Qutbe= grave
marGuub – pleasant, favourite
Maahir= expert
Nahiid= venus, beautiful
Akhtar= stars
Bayaan=statement or narration
Yateem=orphan
Zabt=tolerance
beher=ocean
Qazaa= maut
Qutbe= grave

Leave a Reply