Rubaroo…

Rubaroo

 

 

  1. Aaj baithe hai darya kinaare
  2. Soch mein dube.. man ko samjhaaye
  3. Kya ruh hai meri.. kya zindagi ke afsaane..
  4. Baithe aaj… yahi sawaal suljhaane..
  5. Zindagi ke karkhaane mein
  6. Aafreen ki talaash mein…
  7. Palo ke anjuman mein…
  8. Jo silsile bane….
  9. Jo din dhale…
  10. Jo karvaan chale…
  11. Unke dauraan jo qisse bhune…
  12. Qalb ne jinhe nkaara.. aur jo dost bne….
  13. Jo Musafir ban  safar tay kiye…
  14. Jin alfaazo ke zikr honton se kiye..
  15. Un tajarbo ki aazmaaish samjhane…
  16. Zariya kiske wo ye samajhne…
  17. Aur Shikwe jo unse bne… gile jo unse bhune..
  18. Unke gaalib ko kashmaksh samajne….
  19. Baithe aaj dariya kinaare….
  20. Soch mein dube… man ko samjhaaye…
  21. Intezaar mein ek naya safar tay krne…
  22. Hua jo ab tk.. un sab se rubaroo hone… rubaroo hone….

Glossary:

  1. Darya=river
  2. Karkhaane=workshop
  3. Aafreen=applause
  4. Anjuman=assembly
  5. Qalb=heart
  6. Tajarbo=Experiences (Noun)
  7. Aazmaaish=To Experience (verb)
  8. Zariya=medium
  9. Shikwe=Differences
  10. Gaalib=Owner

Image Source:  http://goo.gl/dFN8Ym

Leave a Reply