FURSAT

Aaj lauta hu ek baar phir un fursat ki galiyon mein…..
zra fursat dhoondhnein do mujhe…..

zra khuli aakhon se sapne dekhne do mujhe…
kaudi hai meri zindagi..zra fursat ke rang se rang bharne do mujhe….

Chalta hu is gali mein to milti hai meri maa….
maa ki mamta ka lutf uthaane do mujhe…..
uski god mein sone do mujhe…..
ek baar phir bachpan ki galiyon mein…….jaane do mujhe…..
ek baar phir uske aanchal ki chhaya mein…hasne aur  rone do mujhe….
duniya se alag..meri maa ki mamta ka luft uthaane do mujhe…..
fursat ki gali mein hu jnaab….zra fursat dhoondhnein do mujhe…..

Ik taraf dikhte hai bhai aur bachpan ke yaar mujhe…..
unke sang bachpan ki yaadon mein……..chhane do mujhe…..
unhi galiyon mein….unhi nukkado par hurdang machaane do mujhe…..
bachpan ki baton ka…un bhole bhaalen zasbaaton ka… ehsaas karne do mujhe…..
ki aaj phir…us masoomiyat ko…
us befikri ko….
befikr hokar jeene do mujhe….
fursat ki galiyon mein hu jnaab…..zra fursat dhoondhnein do mujhe…..

Chalta hu thoda dur to dikhti hai..ek haseena….massoom uska chehra aur neechi nigaahein….
naam se jiske bharta hu main aahein…..
shayd aaj phir sji swri dikh jaaye wo mujhe …..
arey thoda sa is dil ka bhi khyaal rakhne do mujhe….
kasoor mera nhi hai jnaab…
ki dekhta hu uske khwaab….
jadugari aisi ki hain usne apni aakhon se….
ki har hokum hota hai uska sar-aakhon pe….
to aaj mantramughd ho jaane do mujhe….
is baache se dil ka khyaal rakhne do mujhe….
baatein hai jiski pasand…uski baton mein kho jaane do mujhe…..
fursat ki gali mein hu jnaab…zra fursat dhoondhnein do mujhe…..

Kuch kadam aagey baru to khra dikhta hu main…..
aakhon mein dikh rhe hai..khwaab…..
hzaaron swaal…..par bas kuch jwaab…..
mehnat se Rekha badalne ka jazbha dikhta hai….
par na jaane kyun…kabhi akele mein…dar lagta hai….
aaj us dar se ladne do mujhe…..
khud ki aakhon mein thoda uthne do mujhe……
ki fursat ki gali mein hu jnaab…..thodi fursat dhoondhnein do mujhe…..
kauri hai zindagi meri…bharne do use fursat ke rango se mujhe……

Comments (5)

  1. swati May 4, 2011
  2. Gurpreet May 4, 2011
  3. Tarun Yadav May 4, 2011
  4. tarun mittal May 8, 2011
  5. JaYakirti June 10, 2011

Reply Cancel Reply