Ho na jaana gum….

jo tha apna bhi…aur praaya bhi….
man ke kreeb …aur isse dur bhi…
wo jo tha dost aur tha murshad bhi…
jo rha andhere mein saath…aur hua jo..hmm ruksat bhi…
aaj kehna chahta hu usse….ki hui hai galtiyaan mujhse bhi…..

waise to kabhi kuch kam…kabhi kuch zyada bhi khaa…
kuch suna..aur samjhaaa…
kabhi roya to kabhi in aakhon se kuch na kha…
par kabhi tumse wo unkha na kha…
dar tha ki khi tumne na suna….
to kya khunga khud se…
sochunga kya galti hui mujhse…
par aaj hu baitha…yu himmat bdaa ke…
haarna hi hai…ye baat khud ko samjhaa kr….

par sach to hai yhi…
ki dil mein basi ho tum khi….
kehna hai aaj tumse bas yhi…
ki ab chhor mujhe tum jaana nhi…
ki aaye chaahe anndhi..chaahe toofa…
mere saath tum rehna yha…
ki zindagi jeena bhi to tujhse hi seekha hai…
tabhi is kitaab ke hr panne par tera naam likha hai…
to kehna hai bas yhi…
ki is dil mein basi ho tum khi…
ki kabhi yu saath na chhorna tum…
yu ho na jaana gum..yu ho na jaana gum….

Leave a Reply