SIRF RANG ABEER MEIN KYA RAKHA HAI……

INCIDENTALLY THIS YEAR’S HOLI WAS ON THE 8TH OF MARCH WHICH IS ALSO THE INTERNATIONAL WOMAN’S DAY…….

hai aaj holi.. aur rang hai har jagah bhre….
par kyun bhoole unhe jo berang hai jee rhe….
chlo aaj dhoondhe unhe bhi….
btlaaye ye unhe bhi….
ki hote rang kya hai….
aakhir sirf gulaal abeer mein kya rakha hai.. kya rakha hai…..

chlo dhoondhe us nanhi pari ko….
aane se roka jaa rha hai jis ‘kulakshni’ ko…
chlo is paap ke bhaaagi nab ne hum…..
aane se pehle hi ruksat use na hone de hum…..

chlo dhoondhe use bhi jiske haathon mein hai na kitaabein na koi saleti….
ghar mein hi rhegi kyunki ye hai bas ek beti…..
chehre par na muskurahat hai koi…
par hai gham se bhre kai shikwe….
roye man jab dekhe bhai ko pdte hue…
poochchti kya hai gunaah mera….
jo mera haq mujhe na mil rha…..
to chlo use uska haq dilwaaye….
panda chaahti hai wo…to use bhi pdaaye….
kuch rang bachpan ke use bhi dikhaaye…use bhi dikhaaye…use bhi dikhaaye…

chlo dhoondhe use jo akele mein hai khi ro rhi…..
chaahti nhi apne pti ko par bhi raat bhar na so rhi…..
yaad krti hai us din ko…
jab meethi baatein krke man lubhaa gya tha wo……
maa baap ne thi bhi haan bhri…
aakhir dahej ki maang na thi kri…..
aaj lagta hai wo sab jhooth jo hua tha….
toota hai wo har vaada jo kiya tha….
par dar hai ki kya hoga agar awaaz uthaai to….
agar kisi bhaar waalein ke saamne …ro pdi wo….
to sehan krke apne jism ke jhakm wo…
khamosh aur bebas baithi ro rhi hai wo….
to chlo is khamoshi ko ek nyi awaaz….. ek nya ayaam de….
berang hai jiski zindagi usmein thode rang bhar de..
thode rang bhar de…..

to chlo machaate hai galiyon mein thoda hurdang…..
bas gaalo par hi nhi kisi ki zindagi mein bharte hai rang……
jaane ye ki in rango ka asli maksad kya hai…..
aakhir sirf gulaal abeer mein kya rakha hai… sirf gulaal abeer mein kya rakha hai……

Comments (2)

  1. Jim Kipp May 4, 2012
    • Somyanshu May 4, 2012

Leave a Reply