- Baithe hai aaj phir duniya ko ikhtilaan krne
- Shabdo mein piro phir apni khaani byaan krne
- Tumhaare be-paaindag ishq ka gum zaroor hai hmein..
- Par ab uski umeed ka qasaf nhi rokta hai hmein…
- Tum wo lamhaan ho….. jiska gaalib koi nhi…
- Jiski kashmakash sabko hai… par ehsaas ka hisaab ko nhi…
- Tum wo parchhaai ho… jo bas ujaalo mein thi…
- Tum un andhero mein nhi milti…jismein tumhaari zaroorat ho…
- Chaahe aaj main jo kru sab benoor lgta hai….
- Aakh jitni kholu sab bas… dejuur dikhta hai….
- Phir bhi tumhaari is bewaafai ki qardish se pyaar tha hmein…
- Sach kahu to fakhr bhi hai tum par hmein…
- Aakhir tumhaari ahmiyat… meri bnaai hui hai…
- Tumhaari ye tamaam khoobsurti….meri bnaai hui hai…
- Ki jab parvaane jle to…. Shmaa bhi aur nikhrti hai…
- Waise hi meri nashaadgi se tumhaari khoobsurti hai…
- Meri aakhon ki mushaadgi hi… tumhaari numaaindgi hai…
- Mera gham khalq sune to… bde bzaar mein tumhaari keemat hai…
- Meri karz di hue shabd.. mera diya hua waqt… tumhaari ahmiyat hai…
- To aaj main is khalq ko ya btaa deta hu…
- Ek tabke par hum dono ek doosre ke ghulaam hai…
- Main apni na-mukammal umeed ka… tum mere karz ki…..
- To aaj ye silsila…bhi khtm krte hai…
- Azaadi chaahiye hum dono ko… to aaj hum khud ko azaad krte hai… azaad krte hai..
Glossary:
- Ikhtilaan = inform
- Be-paaindag=not permanent
- Qasaf=cage
- Gaalib= conqueror
- Kashmakash= struggle
- Dejuur= pitch darkness
- Gardish=cycle
- Nashaadgi= unhappiness
- Mushaadgi=observation
- Khalq=people/world