Rubaroo-2…

Rubaroo-2...

  1. Aaj baithe hai dariya kinare…
  2. Soch mein dubey.. man ko samjhaaye…
  3. Ki Rah mein jo bhi musafir mile….
  4. Wo Jo hmeshaa saaye ban saath chle…
  5. Ya wo jo mukhtasar hi saath chle…
  6. Ek lamha yaar aur agle lamha ajnabee bne…
  7. Ya wo jo kattar mukhaalif bne…
  8. Lad jinse haar-jeet ke hmein milkiyat mile…
  9. Ya wo jinki zulfo ke hum arsii bne…
  10. Jinke jaane par har jaam ko hum parakhne chle…
  11. Aur reat (sand) par bne nishaan shayd abhi baaki ho…
  12. Jango ki khunrayzi ke nishaan shayd abhi baaki ho….
  13. Chaadar par bnaayi silvate shayd abhi baaki ho…
  14. Hazf ke arsh ke nishaan shayd abhi baaki ho..
  15. In nishaano mein sab ke sang hui har vasl ke gavaah tlaashne…
  16. Beeta jo bhi wo khud ko hi bayaan krne….
  17. Safar jo hue ab tk unhe yaadon mein dauraane…
  18. Unke zariye beete waqt se phir rubaaroo hone…
  19. Baithe hai aaj hum dariya kinaare…
  20. Soch mein dubey.. man ko samjhaaye…

Glossary:

  1. muKhtasar – short/concise
  2. muKhaalif – opponent/enemy
  3. milkiyat- possession
  4. arsii – prisoner
  5. khunrayzi- bloodshed
  6. hazf- separation
  7. arsh-tears
  8. vasl- union/meeting

Image Source: Internet Search

Leave a Reply