Tardiid

Tardiid

  1. Aaj baithe hai dariya kinare…
  2. Soch mein dubey.. man ko samjhaaye…
  3. Aaye the ik dafa pehle bhi yhaan…
  4. Mahboob the sang, gwaah tha khulaa aasmaan
  5. Akhtar the gine, bnaaye the raet par the nishaan…
  6. Tab aib na tha koi, lgti thi zindagi aisa aivaan…
  7. Gharq na honge kabhi, aisa tha hauslaa…
  8. Mehnat par tha itna guroor, ki the khud ke naakhudaa…
  9. Phir ek din is saahil par mauj-e-havadis aaya….
  10. Khushiyon ki nishaan mite, ujaale mein jo tab shab aaya….
  11. Aaj waapas aaye hai to bas us yaad ke liye magmuum hai…
  12. Waqt ki quvvat aisi hai, ki karb yaadon ka ek mafhuum hai…
  13. Par un yaadon par mauquuf hai masarrat bhi hmaari…
  14. Aur ab in yaadon ke hungaama hi hai zindagi hmaari….
  15. Aakhir un yaadon se hi hai hmaari umeed…
  16. hogi khatm ik din yaadon ki tardiid…. Yaadon ki tardiid..

Glossary

  1. Dariya=Sea
  2. Dafa= time
  3. Mahboob= Beloved
  4. Gwaah= Witness
  5. Akhtar= Stars
  6. Aib= Drawback,
  7. Aivaan= Palace
  8. Gharq= Drown
  9. Naakhuda= God
  10. Saahil= Sea Shore
  11. Mauj-e-havadis= Wave of calamities
  12. Shab= Night
  13. Magmuum= Sad
  14. Quvvat= Power
  15. Karb= sadness
  16. Mafhuum= Meaning
  17. Mauquuf= Dependent
  18. Tardiid= Contradiction

One Response

  1. Anu July 4, 2016

Leave a Reply