Koi aur lga dega..

koi-aur-lga-dega

________________________________________________________________________________________________

  1. Aaj baithe hai dariya kinare
  2. Soch mein dubey.. man ko samjhaaye.
  3. Alvidaa keh gya hai Aaftaab
  4. Abr mein chhipa hai Maahtaab.
  5. To Mushaahide khud ke bas hum hi hai
  6. Zindagi darakht to, uske saaye hum hi hai.
  7. Wo mushaira khwaabon ka jo kabhi ab hona nhi
  8. Wo silsilaa baton ka jo kabhi ab bandhna nhi.
  9. Par lgti hai ye zindagi phir bhi naahid si hmein
  10. Faarigi mili hai is daayam tardiid-e-jamaat se jo hmein.
  11. Zaalim maalum hoti hmein ye jamaat, dekhi jo itni dfaa
  12. beizzat krein hum, to wo bewafa, Taarif krein to wo bewafa.
  13. hmaare daag-e-badr par zakhm krne mein durast
  14. har tamashaa-e-hayaat ka krti ye bandobast.
  15. shabaabi darakht ko bhi dikhaaye ek marz-e-shajar
  16. to kyun rkhein qalb mein is jamaat ka zikr.
  17. ab vasle kri is jamaat se humne itni mukhtasar
  18. aate hi inke hum na rhe mayassar.
  19. Par pta hai hmein ki honge is khalq mein kai shair aur bhi
  20. To shayd qalb-e-jamaat koi aur behla degaa, tamashaa-e-hayaat koi aur lgaa dega, koi aur lga dega..

Glossary:

  1. Aaftaab-Sun
  2. Abr-Cloud
  3. Maahtaab-Moon
  4. Mushaahude-Witness
  5. Darakht-tree
  6. Naahid-beautiful
  7. Daayam-perpetual
  8. Faarigi-Freedom
  9. Jamaat-Assembly (of people)
  10. Tardiid-Contradiction
  11. Hayaat-life
  12. Bandobast-to prepare
  13. Badr-full moon
  14. Durast-active/ready
  15. Shabaabi- at its prime
  16. Marz-disease
  17. Shajar-tree
  18. Qalb-Heart/Mind
  19. Vasle-meeting
  20. Mukhtasar-short
  21. mayassar-available

Leave a Reply