Jaahil aur Adeeb

  1. Aaj baithe hai dariya kinare
  2. Soch mein dubey.. man ko samjhaaye.
  3. Ye zindagi hoti hai silwato si jaahil
  4. Uch neech si, bandhein jo waqt ke saahil
  5. Nazdik laaye ik ko, biccharwaane ke liye
  6. Shayd tareeka hai iska, hmaari zabt azmaane ke liye
  7. Ye mahfilein jmaaye, jab hmaari chaah bujhe
  8. Shayd haayat-e-gham ka pta massarat ko der se lge
  9. Yaadon ke zariye, ye waqt se samjhauta krvaaein
  10. Aaj ka gham phir, kal ki seekh btlaaye
  11. Dhundhli hoti yaadein bhi, pta hai ab hmein,
  12. Umr ke saath jo iska khel samajh paaye
  13. Par hum aagaaz-e-inqilaab bhi kaise krein
  14. Kis ko samjhaaye, aur kisko badle
  15. Jazbati hai khalq saara, rhe silwato ke darmiyaan
  16. Khe apni hi to hai zindagi, ise chhor jaaye khan
  17. Par kaun samjhaaye silwate hoti  bas zehan mein
  18. Khush rhe ho hmesha, samjhi ye baat jis adeeb ne, jis adeeb ne

Glossary:

  1. Jaahil: Illiterate
  2. Zabt: Tolerance
  3. Haayat-e-gham: Life of sadness
  4. Massarat: Happiness
  5. Dhundhli: Blurred
  6. Aagaaz-e-inqilaab: Beginning of the revolution/revolt
  7. Khalq: World
  8. Darmiyaan: In between
  9. Zehan: Mind
  10. Adeeb: Literate, Scholar

Image Source: Google Images

Leave a Reply